Chicken Song Lyrics - Bajrangi Baijaan

21:41 Unknown 0 Comments




Singer: Mohit Chauhan

MusicPritam

LyricsMayur Puri

Music Label: T-Series


Lyrics

Bhuk lagi, bhuk lagi
Bhuk lagi, bhuk lagi
Zoron ki bhuk lagi
Murge ki baang hamein
Koyal ki kook lagi

Chowk Chandani, Chaudhary dhaba
Raat din yahaan shor sharaaba, aau..
Hey.. Chauk Chandani, Chaudhary dhaba
Raat din yahaan shor sharaaba

Aadha hai non-veg
Aur veg hai aadha
Spasht kijiye kya hai irada
Chaahiye naan ya roti
Chaahiye raan ya boti
Manga lo Ram kasam kasht ho jaaye
Thodi biryani bukhaari
Thodi phir nalli nihaari
Le aao aaj dharam bhrast ho jaaye

De kitchen se aawaaz chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaj chicken kukdu ku
Yehi kehta hai aaj chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaj chicken kukdu ku (x2)

Hmm.. pet mein thesh lagi
Chuhon ki race lagi
Gala sukhe kuve ka pump hua
Bud bud, gud gud bolta har ang hua
Haaye re tan mein hai bhukamp hua

Ho til ka taad hua
Raai ka pahaad hua
uda chehre ka bhi rang hua
Bud bud, gud gud bolta har ang hua
Haaye re tan mein hai bhukamp hua

Laao kofta, laao korma
Laao shorba, laao sorma
Saare upwas bhale nasht ho jaaye
Thodi biryani bukhani
Thodi phir nali nihaari
Le aao aaj dharam bhrast ho jaaye

De kitchen se aawaaz chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaj chicken kukdu ku
Yehi kehta hai aaj chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaz chicken kukdu ku (x2)

Hai khaao pio mast raho
Raho almast raho
Kal ka sochna yeh ant karo
Karo toh, karo kuchh aaj ka prabhandh karo
Nahi toh chup raho munh band karo

Chammach thaali baje
Katori khali baje
Kuchh parosna aarambh karo
Karo toh, karo kuchh aaj ka prabhandh karo
Nahi toh chuo raho munh band karo

Zara tangdi, zara tikka
Zara mitha, zara khatta
Le aao aaj dharam bhrast ho jaaye

De kitchen se aawaaz chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaj chicken kukdu ku
Yehi kehta hai aaj chicken kukdu ku
Teri bhuk ka ilaaj chicken kukdu ku (x2)

0 comments: