Kya Pataa Lyrics - Drishyam | Arijit Singh

21:03 Unknown 0 Comments




Singer:  Arijit Singh

MusicVishal Bhardwaj

LyricsGulzar

Music Label: Zee Music Company


Lyrics

Khamosh rehne mein dum ghut'ta hai
Aur bolne se zubaan chhilti hai
Darr lagta hai nange paaw mujhe..
Koi kabr paaw tale hilti hai
Pareshaan hoon zindagi se..

Kya pataa kab kahaan se
maaregi zindagi
Kya pata kab kahaan se
maaregi zindagi
Bas ki main zindagi se
darta hoon
Bas ki main zindagi se
darta hoon..
Maut ka kya hai ek baar maaregi

Dhul udne lagti hai jab shaam ki..
Sab kaanch bhar jaate hain gard se
Main darta hoon, main darta hoon
Dil jab dhadkne se thakne lage
Neend aane lagti hai tab dard se
Ajnaan hoon zindagi se..

Kya pata kab kahaan se,
maaregi zindagi
Bas ki main zindagi se darta hun
Bas ki main zindagi se darta hun..
Maut ka kya hai ek baar maaregi..

0 comments: