Sun Saathiya Lyrics - ABCD 2

02:24 Unknown 0 Comments




Singer:  Divya Kumar, Priya Saraiya

MusicSachin-Jigar

LyricsPriya Saraiya

Music Label: Zee Music Company


Lyrics

Ho... sun saathiya maahiya
Barsa de ishqa ki syahiyan

Rang jaaun
Rang rang jaaun ri, haari main
Tujhpe main jhar jhar jhar jaaun
Hun piya bas teri main
Ho chhu le to khari main
(to khari main khari main..)

Ho.. sun saathiya maahiya
Barsa de ishqa ki syaahiyan

Main ret si, bund ka zariya tu
Pa ke tujhe bheeg jaaun re
Main ret si, bund ka zariya tu
Pa ke tujhe bheeg jaaun re

Tar jaaun tar-tar jaaun
Dariya yeh tar jaaun jee
Ishq yeh paake main tera
Nikhar jaaun ri..

Piya bas teri main
Ho, chhu le to khari main
(to khari main, khari main..)

Ho, sun saathiyan maahiya
Barsa de ishqa ki syaahiyan

0 comments: